Faqeerana aaye, kamaa kar chalay
Mian khush raho, hum tau khaa kar chalay
Ye akhbaar waalay ajab loag hain
Jo sara maza kirkira kar chalay
Jo utray thhe maidaan mein dhoom se
Barri shaan se dum daba kar chalay
Kissi ka bhala iss mein jaata hai kya
Agar ik qadam hum barrha kar chalay
Jo hum ne buzargon se seekha tha kal
Wahi daao hum aazmaa kar chalay
Ye spot-fixing barri cheez hai
Jo cricket ki naao duba kar chalay
Faqeerana aaye, kamaa kar chalay
Mian khush raho, hum tau khaa kar chalay
11 comments:
Truly brilliant! Qadam barhaanay waala misra tau pure genius hae.
wah ji wah, cha gaye ho aap
Bohat khoob!
Ijazat kay saath ..
Thay naseeb Kamran, ya phir Ejaz e kaptan
qismat nay ki Yawari, jo hum aazma kar chalay
Wah, Bohot khoob. Agree with Sabizak.
umda, buhat umda.
ab is hi behr main misra-tarha bhi ho jaye, janab...tu kiya hi baat hai...
silsila jari rehna chahiye...
adaab.
wah wah wah!!!! and yes,
"Kissi ka bhala iss mein jaata hai kya
Agar ik qadam hum barrha kar chalay"
is true, true brilliance.
wah.
Wah ji wah! Buht achay!!!
Awesome :D
wah. xyz, kia baat hai. lagta hai tumhara bohot dil dukha hai.
Wah, Mirza Wah. Weisy, bohat afsos hoah Mhd. Amir ka, baqi Butt ka maan ka bonsra.
maaf karna bhai, bohat ghusey mein hoon.
Kuchh idhar bhi laao ke
PCB ka karobar chale
. your blog is amazing, however this piece of poetry would look great in the traditional urdu script. I some how feel we have lost connectivity with our beautiful script. And its not too difficult to use urdu these days
Post a Comment